Haya Aur Khamoshi Imaan Ki Do Shakhayen Hai …..
Posted By : Muhammad Tabarak Hossain
∗ Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
Jo Shaksh Meri Ita’at Karega Woh Jannat Me Dakhil Hoga
(Bukhari Sharif)
∗ Haya Aur Khamoshi Imaan Ki Do Shakhayen Hai Aur
Fahash Goi(Gandi Bat) Aur Zyada Bolna Nifaaq Ki Do Shakhayen Hai.
(Abu Dawood)
∗ Maa-Baap Ka Naam Lekar Pukarna Aur Aurat Ne Shohar Ka Naam
Lekar Pukarna Maqrooh Hai. Ye Adab Ke Khilaf Hai.
(Bahar-e-Shariat)
Kisi Ko Gaali Dena Apne Maa Baap Ko Gaali Dena Hai …….
Rasool Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai, “Gunaho
Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Laanat Kare, Log’on
Ne Kaha Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun
Apne Maa Baap Par Laanat Karega ?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam)
Ne Farmaya: Matlab Ki, “Ek Shaks Dusre Ke Baap Ko Gaali De Aisa Hai Ki
Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De Aisa He Ki Woh
Apni Maa Ko Gaali De.”
(Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Aqab, Hadees No#5973)
Sabab : Yaad Rakhe Kisi Ko Gaali Dena
Apne Maa Baap Ko Gaali Dene Ke Barabar Hai,
good job
ReplyDelete