Sunday, March 9, 2014

Allah Jise Chahta Hai Beti-Betiya Ata Karta Hai





Allah Jise Chahta Hai Beti-Betiya Ata Karta Hai ♥ Al Quran ♥ :
Saare Aasmaan Wa Zameen Ki Hukumat Allah Hi Ki Hai, Wo Jo Chahta Hai Paida Karta Hai . Aur Jise Chahta Hai Sirf Betiyan Deta Hai Aur Jise Chahta Hai Mahaj Beta Ata Karta. Ya Unko (Insano Ko) Bete-Betiya Dono Kism Inayat Karta Hai Aur Jisko Chahta Hai Baanz Bana Deta Hai, Beshaq Woh Bada Wakifkar Qadir Hai -: (Surah Ash-Shura, Ayat 49,50) » Huzoor (Sallalaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, “Sabse Bada Gunaah Yeh Hai Ki, Allah Ka Kisi Ko Sharik Theraye. Phir Uske Baad Ka Gunaah Ye He Ki Apni Aulad Ko Khane-Pine Ke Khauf Se Qatl Kiya Jaye. Tangdast Ko Muaf Karna Behtareen Amaal …..
Posted By : Muhammad Tabarak Hossain
Karzdar Ko Mohlat Do Ya Karz Muaf Kardo !!! ∗
Muraadul Mushtaakin (Sallallahu Ta’la Alayhi Wa Sallam) Farmate Hai, ‘Jis Sakhs Ko Ye Baat Pasand Ho Ke Allah Ta’la Usse Qayamat Ke Din Ghum Aur Ghutan Se Bachaye Toh Use Chahiye Ke Tangdast Karzdar Ko Mohlat De Ya Karz Ka Bojh Uske Uparse Utar De (Yani Karz Muaf Kar De). (Muslim Sharif) Makruz(Karzdar) Ko Khouf Se Azaad Kardo !!! ∗
Hazrat Imam-E-Aazam (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Aur Hazrat Shafiq (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Sath Ja Rahe The Ke Ek Sakhs Ne Aap Ko Dekha Aur Chup Gaya Aur Dusra Rasta Akhtiyar Kiya. Aapko Maloom Hua Toh Aapne Use Pukara. Wo Aaya Toh Aapne Usse Pucha, Ke Tumne Rasta Kyo Badal Diya? Aur Kyo Chup Gaye? Usne Kaha, ‘Me Aapka Makruz(Karzdar) Hu. Dus Hazar Dirham Mujhe Aap Ko Dene Hai Jisko Kafi Arsa Guzar Chuka Hai Aur Me Tangdast Hu. Aapse Sharmata Hu.’ Aapne Farmaya: ‘Meri Wajahse Tumhari Ye Halat Hai? Jao! Maine Tumko Sab Dirham Bakhs Diya. Aur Maine Apne Aapko Nafs Par Gawah Kiya. Aap Aainda Mujhse Na Chupna, Aur Jo Khauf Tumhare Dil Me Meri Wajah Se Paida Hua, Uske Liye Mujhe Muaf Kar Do. (Jawahirul Bayan)
 Tangdast Ko Muaf Kardo !!! ∗
Abu Hurairah (Radiyallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, Ek Shakhs (Zamane-E-Guzistah Me) Logo Ko Udhaar(Karz) Diya Karta Tha, Woh Apne Ghulam Ko Kaha Karta Kisi Tangdast Madiun(Karz Lene Wale) Ke Paas Jana, Usko Muaf Kar Dena, Uss Ummid Par Ki Khuda Humko Muaf Karde, Jab Uska Inteqal Ho Gaya Allah Taala Ne Usko Muaf Kar Diya. (Sahih Bukhari, Kitab Ul Ahadeesul Ambiya, Jild 2, Page No. 470, Hadees No. 3480)

1 comment: